Aag suraj me hoti hai, Jalna zameen ko padta H
Mohabbat nigahe karti hain, Tadapna dil ko padta H
Dil Ke Bazaar Me Doulat Nahi Dehki Jati
Pyar Ho Jaye To Surat Nahi Dekhi Jati
Ek Hi Insan Par Luta Do Sab Kuch Kyonki
Pasand ho Cheez to To Kimat Nahi dekhi Jati
Pyar Humne Kiya Hai Pyar Tumne Kiya H
Yaar Phir Imtihaan Kyon Zamane Ne Liya H
Tu dekh ya na dekh, tere dekhne ka gham nahi, par teri ye na dekhne ki ada dekhne se kam nahi..
Haal-e-dil ae dilbar hum tujhe kaise kahen,
Jo dard hai dil me use kaise sahen,
Rone se teri tasveer kahin mit na jaye par,
Jab dard hai dil me to ashk kaise na bahen.
Zulfon me teri hai meri jannat basi,
Har gam ko chuupa leti hai teri ye dilkash hansi..
Meri har yaad me teri surat hai basi,
Jo tum mil jao to meri duniya me aa jaye dilkashi..
Aansu Hai Ankho Me
Par Beh Nahi Sakte
Duniawalo Se Darte Hain
Islie Kuch Keh Nahi Sakte
Par Ye to Aap Bhi Samajhte Honge
Ki Hum Aapke Bina Reh Nahi Sakte
Ishq tujhse karta hoon
main zindagi se zyada
Main darta nahi maut se
teri judaii se zyada
Chahe to aazmale mujhe
kisi aur se zyada
Meri zindagi me kuch nahi
teri mohabbat se zyada
Aap Haso To Khushi Mujhe Hoti Hai
Aap RuthoTo Ankhe Meri Roti Hai
Aap Dur JaoTo Becheni Hoti Hai
Mehsus Karke Dekho PyarMe Zindgi Kaisi Hoti Hai.
No comments:
Post a Comment